Tumhara phone, computer aur internet hack ho sakte hain, lekin kya tumne kabhi socha ke tumhara apna dimagh bhi hack ho sakta hai?
Ek naye research ke mutabiq, scientist ab aese devices aur technology par kaam kar rahe hain jo insani dimagh ke thoughts aur decision-making ko directly control kar sakti hai. Yeh devices electrodes aur AI ka istemal karte hain jo insani neurons ko manipulate karne ki koshish karte hain.
Yeh concept mujhe tab samajh aaya jab maine United School ke Tech Innovation Day ke ek workshop mein is topic par ek discussion suni. Workshop mein AI aur human brain interaction par experiments dikhaye gaye jo future mein insan ke thoughts aur actions ko hack karne ki potential batate hain.
Yeh discussion sirf fascinating nahi tha, balke thoda khaufnaak bhi, kyunki agar technology is had tak poch gayi hai, toh insani azaadi ka kya hoga? United School ke event ne mujhe technology ke faide aur nuksanat dono par gehri soch par majboor kar diya.